Baatne ka sukh
adha kha ke kabhi man bhi bharna chahiye
sukh hain kitna tan main, har jan ko samjhna chahiye
kyo priytam, khaye pati se bad,
woh bhog samajh dev prasad ka, sikh ka yeh pehlu unse grahan karna chahiye
char dost milke khaye sang,
ho swad kuch bhi, mache us unmad ka ehsas hona chahiye
kuch rishto main, kuch bhi ho jaye main
jhutan main bhi mithas hona chahiye
Ma, Bhai band, Priyatam va Dost
kuch khas in riston main
doori kitni ho faaslo main,
dil ka har ek tar juda hona chahiye
saath baith ke jab tak na ho batien char
laga hua ho, kisso ka silsila baram bar
baatne main kya sukh hai,
ankho main unki woh pyaar beshumaar hona chahiye
adha khake kabhi bhar jaye jo man,
khilake hatho se, khali gar reh bhi jaye bhi tan,
dil hi dil main, woh jo sukoon hai,
ek duje ke liye, behisaab hona chahiye
kabhi ek niwala badha ke toh dikhiye sahab
phir janiyega, din jo gujrenge zindagi ke aage likhe hai,
na badal te ta-mra nazariya jeevan ke safar ka,
woh haseen ehsaas alag hi hona chahiye....
Comments
Post a Comment