Har bar kasoor hawa ka nahin hota....
A beautiful poem I came across
Har Baat ka Koi Jawab Nahi Hota
Har Ishq ka Naam Kharab Nahi Hotaa.
Yuh to Jhoom Lete Hai Nashe me Peene Wale
Magar Har Nashe ka Naam Sharab Nahi Hota.
Khamosh Chehre Par Hazaro Pehre Hote Hai
Hansti Aankho Me Bhi Zakham Gehre Hote Hai
Jinse Aksar Rooth Jaate Hai Hum,
Asal Me Unse Hi Rishte Gehre Hote Hai.
Kisi ne khuda se dua mangi
Dua mein usne khud ki maut mangi,
Khuda ne kaha, maut to tuje de du magar,
Usse kya kahu jisne teri zindagi ki dua mangi.
Har insaan ka dil bura nahi hota
Har ek insaan bewafa nahi hota.
Bujh jate hai diye kabhi tail ki kami se..,
Har bar kusoor hawa ka nahi hota.
Comments
Post a Comment